Baaton hi baaton me kuch baatein bigad gayi
khushiyo ki wo ghadi toh jaise ek pal me guzar gayi
Itni nafrat kyo rehti hai kisi ke dil me aakhir
sochte hi nahi kuch aur kar dete hai usko yu zaahir
dil ye dabang hai , daba deta hai dimag ki soch ko
kuch aur hi bana deta hai chahe jitna bhi tum rok lo
Shabd kuch teer ki tarah nikalti hai ye zubaan
Jaise nikal pada ho daba hua sa ek toofan
ek chubhan ka ahsas bas fir reh jata hai
chahe jo kar lo wo zakhm nahi bhar pata hai
wo waqt guzarta hai aur dekar jaata hai ek sabak
sambhalo iss lamhe ko tum warna reh jayegi sirf ek kasak...
No comments:
Post a Comment