Kaato se saja tha ye safar,uss dard ne haseen bana dia
mai toh kab ka so chuka tha ,ek pal me utha dia
nikal chala tha mai kuch armano ko lekar,ek naya josh sa tha
muje khushiya milti rahi in rahho me par manzil ka pata hi na tha
chalta hi raha fir bhi mai,aur aankho se jaise ek parda hat gaya
zindagi jeene ka mil gaya jaise ek maksad naya
na koi afsos na darr ,bada lamba hai ab bhi ye safar
manzil paana hi hai, raah na bhi ho agar
Bhool gaya hu ab kya tha mera kal
jeena sikha gaya wo ek pal , wo ek pal.....
No comments:
Post a Comment